This poem keeps the fire burning.. let it not extinguish...

Submitted by tarunsonkhya on
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar, aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar. ( The armed enemy eagerly awaits there, and we … fearless and ready here ) Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai, sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai. ( Let there be blood-shed, if the country is in danger, we’ll await our turn to stake our lives too ) Haath jin mein ho junoon katt-te nahi talvaar se, sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se. ( Those that sport fanaticism, fear no death, those that rise, fear no challenge ) Aur bhadkega, jo shola-sa humaare dil mein hai, sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai. ( The fire thats there within, would spew everywhere. We’ll await our turn to stake our lives ) Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan, Jaan hatheli par liye lo bhadh chale hain ye kadam. ( We began with sacrifice in our minds, keeping our lives at stake on each step ) Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai, sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai. ( Our lives is as if, at the pedestal of death, we’ll await our turn to stake our lives ) Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab, hosh dushman ke udaa denge humein roko na aa. ( With raging storms in our hearts and minds, we dare the enemy to come forward ) Duur reh paayein jo humse dam kahaan manzil mein hai, sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai. ( Destiny is incapable of staying away, we’ll await our turn to stake our lives )

Comments

Submitted by pooja on Thu, 08-Jun-2006 - 18:00

Permalink

...it ligght up the fire in the heart!

Submitted by tarunsonkhya on Sat, 24-Jun-2006 - 14:25

In reply to by pooja

Permalink

may this fire keeps burning.. and only extinguish when we extinguish..